Pages

Saturday, 19 October 2013

Pyare Nabi Ki Pyari Baatein


[1] Mere kisi ummati ki koi pareshani dur karne wala, meri sunnat ko jinda karne wala, mujh par khub khub darud padhne wala Qayamat ke din arsh-e-elahi ke saye mai rahega.

[2] Meraz ki raat maine dekha ki paraye mard ke liye ban-shingar kanrne wali awrate apne hatho se apne badan noch-noch kar kha rahi thhi, usse aga mai tapaya ja raha thha. Badan ki numayish karne wali awrato ka badan aga ki kaichiyon se kata ja raha raha hai.

[3] Jis khane par BISMILLAH nahi padhi jati, shaytaan usmai sariq ho jata hai.

4] Kasame kha-khakar maal na becha karo. Isse maal to bik jayega lekin barkat khatam ho jayegi.

[5] Mil-jul kar khane mai barkat hai.

[6] Mujh par darod bhejne wale par Farishte rahemat bhejte hai.

[7] Jo insaan isha ki namaz masjid mai mai ja-mat se iss tarah ada kare ki taqbir-ul bhi na chhute paye, Allah paak usse jahannam se azadi likh deta hai.

[8] Agar logo ko azan padhne aur paheli saf mai namaz mai shariq hone, ki fazilat malom hoti to iske liye kuraa andazi karte.

[9] Jisne jalim ke liye baddua  kari gaya usne apna badla le liya.

(Peshkash – Anis Ansari, Dugriya – 5)

[10] Kuch log ayese hai ki jannat mai unak martaba achanak bad jata hai. Wah hayeran ho kar puchte hai – elahi! Achanak hamara martaba itna buland kaise ho gaya? To jawab milta hai – Teri Awlad ne mujhse teri magfirat ki dua magi. Maine tumhare haq mai uski dua qabul karli, isliye tumhara martaba badhdiya gaya.

[11] Qayamat mai kuch ayese bhi khushnasib bande hoge jinki nekiya pahado jayesi hogi. Wah araz karege – maula! Hamne to duniya mai itne nek kaam kiya nahi thhe ki itna bada sawab milta. Unhe bataya jayega ki tumahari awlad ne tumhari bakhshish ki dua magi (tumhare liye isal-e-sawab karte rahe) hamne unki duao ko Qabul kar ke tumahra martaba baland kar diya.

[12] Mayyat apne Qabar mai dubte huwe insaan ki tarah raheti hai jisse har dam kisi madad wa sahare ka intizaar raheta hai. Jab koi uske liye dua-e-magfirat karta hai to agar wah azab mai hota hai to uska azab kam kar diya jata hai, Jannat mai hai to uska martaba baland kar diya jata hai.

 

Friday, 18 October 2013

Shadi Kya Zarori Hai



Insaan Allah ki sari makhluq mai sab se ashraf ,afzal, baiezzat aur bawaqar makhluq hai. Aaj hamara insaani samaj tarakki ki jin raho mai chal raha hai wo charo taraf shirf piyas hi piyas  aur tadap hi tadap hai. dawlat, shohorat, naamwari aur is bhag dawd wali zindagi mai sab ki nigahe piyasi hain. Kisi ko shyrabi hasil nahi. Kisi ko sukun hasli nahi. Allah paak ne din ko kaam aur raat ko araam ke liye banaya hai lekin ab din-raat kaam hi kaam hai. Araam ka bas naam hai. Insaan ne apne araam aur dili sukun ke liye jo samaan talash kiya hai wah sab tabahi ke raste hai. Pura sukun aur bawkaar zindagi ki rahenumayi to hame islam mai milta hai.

Ek samjhdaar insaan is hakikat se achchhi tarah wakif hai ki zindagi ka lamba safar tanaha nahi taya kiya ja sakta. Yaha baat to ab hamari nayi nasale waqt se pahele hi janne lagi hai. Zindagi ke pahle padaw mai hi jeevan sathi talash kar lete hain. Islam mai is baat ki izazat nahi ki koi admin akela zindagi ka safar tay kare kyonki ayesi halat mai bahut sare nuksaniyat hai, deen ke bhi aur duniya ke bhi. Aur zindagi ek bhi akhiri padaw mai to is kami ka ayehesas hato ke tarah khatakne lagta hai. Isliye islam mai shadi ko insaani zarorat ke alawa ibadat ka bhi darza diya hai. Iski barkat se insaan bahut sare gunah se bach jata hai. Shadi hamare pyare NABI ki sunnat to hai hi, lekin waqt ke takazo ke mutabik kabhi wajib ho jati hai to kabhi faraz bhi ban jati hai.

Islam chaheta hai ki insaan apni fitrat ke takazo ko pura karte hue paak damani ki pur sukun aur bayizzat zindagi guzare. Din bhar ka thaka hara mard jab sham ko kaam se farig ho kar ghar pahuchta hai to uski BIBI ka muskurata chehera uski din bhar ki thakan ko qaafur kar deta hai. ayese alam mai use ayesa sunkun mahesus hota hai ki wah apna sab dukh-dard bhul jata hai. Agar ayesa na ho to insaan ko ghar pahoch ne  par kaisa mahesush ho? Aap khud andaza laga sakte hain. Ayesi hi fitri zarorato aur mayushiyon se bachne ke liye islam ne shadi ko jarori karar diya hai. Taki mard wa awrat apni – apni hado mai rahe kar apni-apni  zimmedari nibhate huwa izzat wa sunkun ki zindagi guzare.

Islam ne mard ko sab se jayeda jimmedari supurd ki hai aur usse ghar ka zimmedaar wa hakim banaya hai aur awrat ko rozi-roti ki fikar se azaad kar ke ghar wa bachcho ki achchhi dekh-bhal ki zimmedari  sawpi hai. Maa-baap ki khidmat bachcho ki behetareen talim wa tarbiyat aur shawhar ki farmabardari awrat ko supurt kar ke uske makaam wa martaba ko buland kiya hai aur yaha basharat bhi sunayi hai. MAA-BAAP KI KHIDMAT KA BADLA JANNAT HAI AUR UNKI NAFARMANI ALLAH KI NAFARMANI HAI.

Islam deen-e-fitrat hai isliye usne har mamle mai insaani fitrat wa jazsba ka khayal rakha hai aur apne manne walo ko sunneyas lene ya wairagi banne se roka hai aur SHADISUDA zindagi guzarne ki takid ki hai.

SHIRAT-E-MUSTAKIM BOOK, SE LIYE HUWA ASHRA.


Tuesday, 15 October 2013

Eid Al Adha


♥♥♥ Eid Al Adha Mubarak ♥♥♥ 1434 Hijri !

On the holy occasion of Eid Al Adha..Here's Wishing
that may the Blessings of ALLAH light up your way
and lead you to eternal Happiness, Success and Peace.

Sunday, 13 October 2013

Ijazat Nahi



Allah ke Rasul Sallallaho alaiye wa sallam ne maut ki yaad rakhne ki takid farmayi hai aur dukh-mushibat se tang aa kar maut ki dua mangne se mana farmaya hai. Yahi islam ka hukum hai.

 

Allah ke rasul farmate hai – Jab seeny mai islam wa imaan ka noor  sama janat hai to fir muslim ka seena khushada (lamba-chawda) ho jata hai aur waha apne seene mai islami talim ke hazaro khajano ko samet leta hai. Yah basharat sun kar ek sahaba ne arz kiya ya RasulAllah! Iska pata kaise chale ke islam ka noor seeny mai sama gaya? Aapne farmaya – Jo admi duniya aur uski rangginiyon se alag-dhalag rahene lage, maut ko ane se pahele uski tayyari mai lag jaye, apni akhirat banane mai lag jaye to samjh lo ki uska seena islam ke noor se rawshan ho gaya.

Agar tum duniya ke hangame mai tum ho kar bhi apni maut ko yaad rakhne ka mauka na pate ho to qabarishtaan jaya karo, Isse to tumhe jarur maut ki yaad ayegi. Maut ki yahi yaad tumhe bade-bade gunaho aur tabahi se bacha sakti hai.

Issi maqshad ke liye ek aur hadis mai hai – bimaro ki khariyat malum karne jaya karo, janazo mai shirkat kiya karo, isse bhi tumhe maut ki yaad ayegi aur tum akhirat ki tayyari karne ki sochne lagoge.

Allah ke Rasul ne hame hamesha apni maut ki yaad rakhne ki takid di hai taki ham apne anzam se gafil na hone paye. Adimi ko jab is baat ka khayal rahega ki ek din hame bhi apna sab kuch chhord kar jana padega aur wah hame apne zindagi ke kaamo ka hisab dena padega, to yahi khayal insaan ko har tarah ki burayi se bacha lega. Adimi ko jab apne rab ke darbar mai pesh hone ka khayal rahega, uske azaab se darega to fir wo gunah se bachta rahega aur jayeda se jayeda ibadat aur neki karne apni akhirat ko behetar banane ki koshish mai laga rahega. Goya maut ki yaad momin ki kamiyabi ki paheli manzil hai. Is liye Allah wa Rasul ne hame maut ko yaad rakhne ki takid farmayi hai. Maut ek nayi zindagi ka paigam hai. Maut ki tayyari karne ka hukum hai lekin maut ki dua mangne ki izazat nahi kyonki zindagi Allah ki ek nemat hai. Dukh-musibat se ghabra kar maut ki dua mangna nazayaz hai.

Haan agar ayesi halat ho jaye to yo dua mage – YA ALLAH! JAB TAK ZINDAGI MERE LIYE BEHETAR HO US WAQT TAK MUJHE ZINDA RAKH AUR JAB MAUT MERE LIYE BEHETAR HO TO MAUT ATA FARMA.

Sayyd. Mohammed Ayyub Ashrafi.

Peshkash – Sirat-e-Mustakin, Mahanama.


   

Ayehesase Mohabbat

Mohabbat ek ayesa paak wa ruhani zasba hai jo har inssan ke dil mai dharakta raheta hai. Ek waqt yah tha jab bachchhey shirf maa ki mohabbat pahechante they. Lekin aaj ki nayi tahezeb ki meherbani se bachchey bhi mohabbat ke azeeb- azeeb andaz samjhne lage hai.

Mohabbat ka ayehesas umar ke badne ke sath-sath badhta raheta hai isliye jaruri hai ki bachchey ki tarbiyat ke dawran is baat ka khayal rakhkha jayed ki un ki mohabbat ka zasba wa ayehesas kisi galat or na jane paye taki unka kirdar achcha rahe aur wah kawm mai izzat ki nazro se dekhey jaye. Mohabbat ek ayesi chiz hai jiske liye bachchey, budhey, mard-aurat bahut kuch kar baithte hai. Mohabbat ka sahi zasba wa ayehesas insaan ko duniya wa akhirat ki kamiyabiyan ata karta hai. Yaha mohabbat ka hi to takaza tha ki 313 nihatthey musalman hazaro ke muqabale ke liye bhukhey-piyase jaan hatheyli par rakh kar badar ke maidan par aa pahuchey they aur apne sachchey zasbe ki badawlat kamiyabi hasil ki thi. Unki mohabbat ke natize mai chalo taraf islam ki dhak baith gayi thi.

Mohabbat ki buniyat par hi to hazrat abu bakar siddiq ne meraz ke safar ki tasdik kar ke SIDDIQ ka lakab hashil kiya tha. Yaha mohabbat ka hi zasba thha ki hazrat usman bin affaan Allah ki rah mai malo-dawlat kurban kar ke USMAN-E-GANI ban gaye. Mohabbat ka hi karishma tha ki insaaf ki talwar banker hazrat umar bin khattab FARUQU-E-AZAM ban gaye. Yah mohabbat wa akida ka hi to ayehesas tha ki jange uhud mai pyare nabi ke Mubarak daat tutne ki khabar son kar Hazrat awas karni ne apne sare daat tod dale. Mohabbat ka hi karishma tha jisne gulam Bilal ko AKA BILAL bana diya. Apne buzurgo ke rawshan kirdar wo amal se sabak hashil karte huwe hame apne is zasbe wa ayehesas ko sahi samt le jane ki fikar wa koshish karni chahiye taki dono jahan mai surkhuru ho sake.

Mohabbat ki buniyat par agar nafrat ki diwangi todi ja sakti hai to yakin rakhkheye ki issi mohabbat se kufr ke adheyre bhi dur ho sakte hai. Hamre guzurgo ki zindagi iss hakikat ka jeeta jagta namuna hai jisne lakho ke dil ki duniya badal dali. Aye, ham bhi issi payega-e-mohabbat ko aaam kare.

Peshkash – Sirat-e-Mustakin, Mahanama.

.

Monday, 7 October 2013

Mounting created Bloggif

MAA ki Ahemiyat

Ek admin Allah ke rasul sallallaho alaiye wa sallam ki khidmat mai hazir ho kar kahene laga – Ya Rasulallah! Main apni maa ko kisi tarah ki koi taklif nahi deta fir bhi wo mujhe har  kuch kahete raheti hai jisse mujhe bahut taklif hoti hai. Main kya karo? Pyare rasul ne farmaya – tum apni maa ka khak adaa karo (ho sakta hai tumhari kisi harkat se unhe taklif pahuchi hogi jiska tumhe ayehesas nahi hota hoga, isiliye wo dukhi ho kar tumhe kuch kahe deti hogi) agar tum apne badan ka gusht kat kar apni maa ko de dalo to bhi unka haq adaa nahi ho sakta. Maa ke kadmo tale Jannat hai.




Danishwaro ka kahene hai – maa ka achal jannati ped se kam nahi. Maa ki hakikat samjhne wala aur uska haq aada karne wala jannat ke hakdaar hoge. Janannam ki age uske liye hai jo maa ki nafarmani karte hai. Maa ki baddua se daro-bacho. Unki duao mai awlad ki tarakki wa kamiyabi ka raj hai. Jo awlad maa-baap ki izzat wa khizmat nahi karti wa har khushi se maherum raheti hai. Maa ki mohabbat wa akidat bhairi nazro se dekhna bhi ibadat hai.

Maa-Baap ki nafarmani karna gunah-e-qabira nahi. Maa ne awlad ko 9 mahine tak pet mai rakhkha aur tarah-tarah ki taklife bardasht ki aur fir paidaish ke waqt kitni aur kaisi-kaisi, taklife jhheli, us tarlif ka tum haq ada karo. Maa ayesa saya hai jisse adhera rawshan ho jata hai. Maa ghar ki rawnak wa zinat hai. Jo logo maa-baap ki nafarmani karte hai wah Allah ke rahem wa karam se maherum rahete hai. Unki badduao se bacho. Maa ek dua ki tarah awlado ke sir par saya kiye raheti hai. Inshaniyat ki sachchhi tasveer maa ke chehere par dekhi ja sakti hai. Wah adimi bada hi bad nasib hai jo apne Maa-Baap ki khidmat ,izzat,kar ke unki duaye na le sake. Maa ayesi dawlat hai jo kho jaye to dobara nahi milegi.

Maa Shahensha ke taj se bhi kimti hoti hai. Maa ki mamta ek anmol hera hai. Maa ayesi hai jo apne andar awlad ke lakho raaj chhupaye rakhti hai. Jis ghar mai maa nahi hoti waha virana aur be rawnak lagta hai. Maa ki mamta ki dashtaan badi anmol hai. Maa awlad ke liye Allah ka behetarin atiya aur tofa hai. Isliye Maa ke andar galtiya mat nikalo balki apna farz nibhate rahoge to wah kabhi shikayat ki jaban nahi kholegi.

Allah paak hame apne maa-baap ki khidmat wa izzat karne ki tawfik de Ameen!!

JoinSunni Muslim Club

 

Mounting created Bloggif

99 Names of ALLAH

The 99 Names of Allah (swt) with meanings
Allah (swt) The Greatest Name
Ar-Rahman 1 -The All-Compassiona te
Ar-Rahim 2 -The All-Merciful
Al-Malik 3 -The Absolute Ruler
Al-Quddus 4 -The Pure One
As-Salam 5 -The Source of Peace
Al-Mu'min 6 -The Inspirer of Faith
Al-Muhaymin 7 -The Guardian
Al-'Aziz 8 -The Victorious
Al-Jabbar 9 -The Compeller
Al-Mutakabbir 10 -The Greatest
Al-Khaliq 11 -The Creator
Al-Bari'12 -The Maker of Order
Al-Musawwir 13 -The Shaper of Beauty
Al-Ghaffar 14 -The Forgiving
Al-Qahhar 15 -The Subduer
Al-Wahhab 16 -The Giver of All
Ar-Razzaq 17 -The Sustainer
Al-Fattah 18 -The Opener
Al-'Alim 19 -The Knower of All
Al-Qabid 20 -The Constrictor
Al-Basit 21 -The Reliever
Al-Khafid 22 -The Abaser
Ar-Rafi'23 -The Exalter
Al-Mu'izz 24 -The Bestower of Honors
Al-Mudhill 25 -The Humiliator
As-Sami 26 -The Hearer of All
Al-Basir 27 -The Seer of All
Al-Hakam 28 -The Judge
Al-'Adl 29 -The Just
Al-Latif 30 -The Subtle One
Al-Khabir 31 -The All-Aware
Al-Halim 32 -The Forebearing
Al-'Azim 33 -The Magnificent
Al-Ghafur 34 -The Forgiver and Hider of Faults
Ash-Shakur 35 -The Rewarder of
Thankfulness
Al-'Ali 36 -The Highest
Al-Kabir 37 -The Greatest
Al-Hafiz 38 -The Preserver
Al-Muqit 39 -The Nourisher
Al-Hasib 40 -The Accounter
Al-Jalil 41 -The Mighty
Al-Karim 42 -The Generous
Ar-Raqib 43 -The Watchful One
Al-Mujib 44 -The Responder to Prayer
Al-Wasi'45 -The All-Comprehendi ng
Al-Hakim 46 -The Perfectly Wise
Al-Wadud 47 -The Loving One
Al-Majíd 48 -The Majestic One
Al-Ba'ith 49 -The Resurrector
Ash-Shahid 50 -The Witness
Al-h Haqq 51 -The Truth
Al-Wakil 52 -The Trustee
Al-Qawi 53 -The Possessor of All Strength
Al-Matin 54 -The Forceful One
Al-Wáli 55 -The Governor
Al-Hamid 56 -The Praised One
Al-Muhsi 57 -The Appraiser
Al-Mubdi 58 -The Originator
Al-Mu'id 59 -The Restorer
Al-Muhyi 60 -The Giver of Life
Al-Mumit 61 -The Taker of Life
Al-Hayy 62 -The Ever Living One
Al-Qayyum 63 -The Self-Existing One
Al-Wajid 64 -The Finder
Al-Májid 65 -The Glorious
Al-Wahid 66 -The Only One
Al-Ahad 67 -The One
As-Samad 68 -The Satisfier of All Needs
Al-Qadir 69 -The All Powerful
Al-Muqtadir 70 -The Creator of All Power
Al-Muqaddim 71 -The Expediter
Al-Mu'akhkhir 72 -The Delayer
Al-Awwal 73 -The First
Al-Akhir 74 -The Last
Az-Zahir 75 -The Manifest One
Al-Batin 76 -The Hidden One
Al-Walí 77 -The Protecting Friend
Al-Muta'ali 78 -The Supreme One
Al-Barr 79 -The Doer of Good
At-Tawwib 80 -The Guide to Repentance
Al-Muntaqim 81 -The Avenger
Al-Afu 82 -The Forgiver
Ar-Ra'uf 83 -The Clement
Malik al-Mulk 84 -The Owner of All
Dhul-Jalali
Wal-Ikram 85 -The Lord of Majesty and Bounty
Al-Muqsit 86 -The Equitable One
Al-Jami 87 -The Gatherer
Al-Ghani 88 -The Rich One
Al-Mughni 89 -The Enricher
Al-Mani'90 -The Preventer of Harm
Ad-Darr 91 -The Creator of The Harmful
An-Nafi 92 -The Creator of Good
An-Nur 93 -The Light
Al-Hadi 94 -The Guide
Al-Badi 95 -The Originator
Al-Baqi 96 -The Everlasting One
Al-Warith 97 -The Inheritor of All
Ar-Rashid 98 -The Righteous Teacher
As-Sabur 99 -The Patient One
Sunni Muslim Club