Ijazat Nahi
Allah ke Rasul Sallallaho alaiye wa sallam ne maut ki yaad rakhne ki
takid farmayi hai aur dukh-mushibat se tang aa kar maut ki dua mangne se
mana farmaya hai. Yahi islam ka hukum hai.
Allah
ke rasul farmate hai – Jab seeny mai islam wa imaan ka noor sama janat
hai to fir muslim ka seena khushada (lamba-chawda) ho jata hai aur waha
apne seene mai islami talim ke hazaro khajano ko samet leta hai. Yah
basharat sun kar ek sahaba ne arz kiya ya RasulAllah! Iska pata kaise
chale ke islam ka noor seeny mai sama gaya? Aapne farmaya – Jo admi
duniya aur uski rangginiyon se alag-dhalag rahene lage, maut ko ane se
pahele uski tayyari mai lag jaye, apni akhirat banane mai lag jaye to
samjh lo ki uska seena islam ke noor se rawshan ho gaya.
Agar tum duniya ke hangame mai tum ho
kar bhi apni maut ko yaad rakhne ka mauka na pate ho to qabarishtaan
jaya karo, Isse to tumhe jarur maut ki yaad ayegi. Maut ki yahi yaad
tumhe bade-bade gunaho aur tabahi se bacha sakti hai.
Issi maqshad ke liye ek aur hadis mai
hai – bimaro ki khariyat malum karne jaya karo, janazo mai shirkat kiya
karo, isse bhi tumhe maut ki yaad ayegi aur tum akhirat ki tayyari karne
ki sochne lagoge.
Allah ke Rasul ne hame hamesha apni maut
ki yaad rakhne ki takid di hai taki ham apne anzam se gafil na hone
paye. Adimi ko jab is baat ka khayal rahega ki ek din hame bhi apna sab
kuch chhord kar jana padega aur wah hame apne zindagi ke kaamo ka hisab
dena padega, to yahi khayal insaan ko har tarah ki burayi se bacha lega.
Adimi ko jab apne rab ke darbar mai pesh hone ka khayal rahega, uske
azaab se darega to fir wo gunah se bachta rahega aur jayeda se jayeda
ibadat aur neki karne apni akhirat ko behetar banane ki koshish mai laga
rahega. Goya maut ki yaad momin ki kamiyabi
ki paheli manzil hai. Is liye Allah wa Rasul ne hame maut ko yaad
rakhne ki takid farmayi hai. Maut ek nayi zindagi ka paigam hai. Maut ki
tayyari karne ka hukum hai lekin maut ki dua mangne ki izazat nahi
kyonki zindagi Allah ki ek nemat hai. Dukh-musibat se ghabra kar maut ki
dua mangna nazayaz hai.
Haan agar ayesi halat ho jaye to yo dua
mage – YA ALLAH! JAB TAK ZINDAGI MERE LIYE BEHETAR HO US WAQT TAK MUJHE
ZINDA RAKH AUR JAB MAUT MERE LIYE BEHETAR HO TO MAUT ATA FARMA.
Sayyd. Mohammed Ayyub Ashrafi.
Peshkash – Sirat-e-Mustakin, Mahanama.
No comments:
Post a Comment