MAA ki Ahemiyat
Ek admin Allah ke rasul sallallaho alaiye wa sallam ki khidmat mai hazir ho kar kahene laga – Ya Rasulallah!
Main apni maa ko kisi tarah ki koi taklif nahi deta fir bhi wo mujhe
har kuch kahete raheti hai jisse mujhe bahut taklif hoti hai. Main kya
karo? Pyare rasul ne farmaya – tum apni maa ka khak adaa karo (ho sakta
hai tumhari kisi harkat se unhe taklif pahuchi hogi jiska tumhe ayehesas
nahi hota hoga, isiliye wo dukhi ho kar tumhe kuch kahe deti hogi) agar
tum apne badan ka gusht kat kar apni maa ko de dalo to bhi unka haq
adaa nahi ho sakta. Maa ke kadmo tale Jannat hai.
Danishwaro ka kahene hai – maa ka achal
jannati ped se kam nahi. Maa ki hakikat samjhne wala aur uska haq aada
karne wala jannat ke hakdaar hoge. Janannam ki age uske liye hai jo maa
ki nafarmani karte hai. Maa ki baddua se daro-bacho. Unki duao mai awlad
ki tarakki wa kamiyabi ka raj hai. Jo awlad maa-baap ki izzat wa
khizmat nahi karti wa har khushi se maherum raheti hai. Maa ki mohabbat
wa akidat bhairi nazro se dekhna bhi ibadat hai.
Maa-Baap ki nafarmani karna gunah-e-qabira nahi. Maa ne awlad ko 9 mahine
tak pet mai rakhkha aur tarah-tarah ki taklife bardasht ki aur fir
paidaish ke waqt kitni aur kaisi-kaisi, taklife jhheli, us tarlif ka tum
haq ada karo. Maa ayesa saya hai jisse adhera rawshan ho jata hai. Maa
ghar ki rawnak wa zinat hai. Jo logo maa-baap ki nafarmani karte hai wah
Allah ke rahem wa karam se maherum rahete hai. Unki badduao se bacho.
Maa ek dua ki tarah awlado ke sir par saya kiye raheti hai. Inshaniyat
ki sachchhi tasveer maa ke chehere par dekhi ja sakti hai. Wah adimi
bada hi bad nasib hai jo apne Maa-Baap ki khidmat ,izzat,kar ke unki
duaye na le sake. Maa ayesi dawlat hai jo kho jaye to dobara nahi
milegi.
Maa Shahensha ke taj se bhi kimti hoti
hai. Maa ki mamta ek anmol hera hai. Maa ayesi hai jo apne andar awlad
ke lakho raaj chhupaye rakhti hai. Jis ghar mai maa nahi hoti waha
virana aur be rawnak lagta hai. Maa ki mamta ki dashtaan badi anmol hai.
Maa awlad ke liye Allah ka behetarin atiya aur tofa hai. Isliye Maa ke
andar galtiya mat nikalo balki apna farz nibhate rahoge to wah kabhi
shikayat ki jaban nahi kholegi.
Allah paak hame apne maa-baap ki khidmat wa izzat karne ki tawfik de Ameen!!
No comments:
Post a Comment