Pyare Nabi Ki Pyari Baatein
[1] Mere kisi ummati ki koi pareshani dur karne wala, meri sunnat ko jinda karne wala, mujh par khub khub darud padhne wala Qayamat ke din arsh-e-elahi ke saye mai rahega.
[2] Meraz ki raat maine dekha ki paraye mard ke liye ban-shingar kanrne wali awrate apne hatho se apne badan noch-noch kar kha rahi thhi, usse aga mai tapaya ja raha thha. Badan ki numayish karne wali awrato ka badan aga ki kaichiyon se kata ja raha raha hai.
[3] Jis khane par BISMILLAH nahi padhi jati, shaytaan usmai sariq ho jata hai.
4] Kasame kha-khakar maal na becha karo. Isse maal to bik jayega lekin barkat khatam ho jayegi.
[5] Mil-jul kar khane mai barkat hai.
[6] Mujh par darod bhejne wale par Farishte rahemat bhejte hai.
[7] Jo insaan isha ki namaz masjid mai mai ja-mat se iss tarah ada kare ki taqbir-ul bhi na chhute paye, Allah paak usse jahannam se azadi likh deta hai.
[8] Agar logo ko azan padhne aur paheli saf mai namaz mai shariq hone, ki fazilat malom hoti to iske liye kuraa andazi karte.
[9] Jisne jalim ke liye baddua kari gaya usne apna badla le liya.
(Peshkash – Anis Ansari, Dugriya – 5)
[10] Kuch log ayese hai ki jannat mai unak martaba achanak bad jata hai. Wah hayeran ho kar puchte hai – elahi! Achanak hamara martaba itna buland kaise ho gaya? To jawab milta hai – Teri Awlad ne mujhse teri magfirat ki dua magi. Maine tumhare haq mai uski dua qabul karli, isliye tumhara martaba badhdiya gaya.
[11] Qayamat mai kuch ayese bhi khushnasib bande hoge jinki nekiya pahado jayesi hogi. Wah araz karege – maula! Hamne to duniya mai itne nek kaam kiya nahi thhe ki itna bada sawab milta. Unhe bataya jayega ki tumahari awlad ne tumhari bakhshish ki dua magi (tumhare liye isal-e-sawab karte rahe) hamne unki duao ko Qabul kar ke tumahra martaba baland kar diya.
[12] Mayyat apne Qabar mai dubte huwe insaan ki tarah raheti hai jisse har dam kisi madad wa sahare ka intizaar raheta hai. Jab koi uske liye dua-e-magfirat karta hai to agar wah azab mai hota hai to uska azab kam kar diya jata hai, Jannat mai hai to uska martaba baland kar diya jata hai.
No comments:
Post a Comment