Shadi Kya Zarori Hai
Insaan Allah ki sari makhluq mai sab se ashraf ,afzal, baiezzat aur
bawaqar makhluq hai. Aaj hamara insaani samaj tarakki ki jin raho mai
chal raha hai wo charo taraf shirf piyas hi piyas aur tadap hi tadap
hai. dawlat, shohorat, naamwari aur is bhag dawd wali zindagi mai sab ki
nigahe piyasi hain. Kisi ko shyrabi hasil nahi. Kisi ko sukun hasli
nahi. Allah paak ne din ko kaam aur raat ko araam ke liye banaya hai
lekin ab din-raat kaam hi kaam hai. Araam ka bas naam hai. Insaan ne
apne araam aur dili sukun ke liye jo samaan talash kiya hai wah sab
tabahi ke raste hai. Pura sukun aur bawkaar zindagi ki rahenumayi to
hame islam mai milta hai.
Ek samjhdaar insaan is hakikat se
achchhi tarah wakif hai ki zindagi ka lamba safar tanaha nahi taya kiya
ja sakta. Yaha baat to ab hamari nayi nasale waqt se pahele hi janne
lagi hai. Zindagi ke pahle padaw mai hi jeevan sathi talash kar lete
hain. Islam mai is baat ki izazat nahi ki koi admin akela zindagi ka
safar tay kare kyonki ayesi halat mai bahut sare nuksaniyat hai, deen ke
bhi aur duniya ke bhi. Aur zindagi ek bhi akhiri padaw mai to is kami
ka ayehesas hato ke tarah khatakne lagta hai. Isliye islam mai shadi ko
insaani zarorat ke alawa ibadat ka bhi darza diya hai. Iski barkat se
insaan bahut sare gunah se bach jata hai. Shadi hamare pyare NABI ki sunnat to hai hi, lekin waqt ke takazo ke mutabik kabhi wajib ho jati hai to kabhi faraz bhi ban jati hai.
Islam chaheta hai ki insaan apni fitrat
ke takazo ko pura karte hue paak damani ki pur sukun aur bayizzat
zindagi guzare. Din bhar ka thaka hara mard jab sham ko kaam se farig ho
kar ghar pahuchta hai to uski BIBI
ka muskurata chehera uski din bhar ki thakan ko qaafur kar deta hai.
ayese alam mai use ayesa sunkun mahesus hota hai ki wah apna sab
dukh-dard bhul jata hai. Agar ayesa na ho to insaan ko ghar pahoch ne
par kaisa mahesush ho? Aap khud andaza laga sakte hain. Ayesi hi fitri
zarorato aur mayushiyon se bachne ke liye islam ne shadi ko jarori karar
diya hai. Taki mard wa awrat apni – apni hado mai rahe kar apni-apni
zimmedari nibhate huwa izzat wa sunkun ki zindagi guzare.
Islam ne mard ko sab se jayeda jimmedari
supurd ki hai aur usse ghar ka zimmedaar wa hakim banaya hai aur awrat
ko rozi-roti ki fikar se azaad kar ke ghar wa bachcho ki achchhi
dekh-bhal ki zimmedari sawpi hai. Maa-baap ki khidmat bachcho ki
behetareen talim wa tarbiyat aur shawhar ki farmabardari awrat ko supurt
kar ke uske makaam wa martaba ko buland kiya hai aur yaha basharat bhi
sunayi hai. MAA-BAAP KI KHIDMAT KA BADLA JANNAT HAI AUR UNKI NAFARMANI ALLAH KI NAFARMANI HAI.
Islam deen-e-fitrat hai isliye usne har
mamle mai insaani fitrat wa jazsba ka khayal rakha hai aur apne manne
walo ko sunneyas lene ya wairagi banne se roka hai aur SHADISUDA zindagi guzarne ki takid ki hai.
SHIRAT-E-MUSTAKIM BOOK, SE LIYE HUWA ASHRA.
No comments:
Post a Comment