Ayehesase Mohabbat
Mohabbat ek ayesa paak wa ruhani zasba hai jo har inssan ke dil mai
dharakta raheta hai. Ek waqt yah tha jab bachchhey shirf maa ki mohabbat
pahechante they. Lekin aaj ki nayi tahezeb ki meherbani se bachchey bhi
mohabbat ke azeeb- azeeb andaz samjhne lage hai.
Mohabbat ka ayehesas umar ke badne ke
sath-sath badhta raheta hai isliye jaruri hai ki bachchey ki tarbiyat ke
dawran is baat ka khayal rakhkha jayed ki un ki mohabbat ka zasba wa
ayehesas kisi galat or na jane paye taki unka kirdar achcha rahe aur wah
kawm mai izzat ki nazro se dekhey jaye. Mohabbat ek ayesi chiz hai
jiske liye bachchey, budhey, mard-aurat bahut kuch kar baithte hai.
Mohabbat ka sahi zasba wa ayehesas insaan ko duniya wa akhirat ki
kamiyabiyan ata karta hai. Yaha mohabbat ka hi to takaza tha ki 313
nihatthey musalman hazaro ke muqabale ke liye bhukhey-piyase jaan
hatheyli par rakh kar badar ke maidan par aa pahuchey they aur apne
sachchey zasbe ki badawlat kamiyabi hasil ki thi. Unki mohabbat ke
natize mai chalo taraf islam ki dhak baith gayi thi.
Mohabbat ki buniyat par hi to hazrat abu
bakar siddiq ne meraz ke safar ki tasdik kar ke SIDDIQ ka lakab hashil
kiya tha. Yaha mohabbat ka hi zasba thha ki hazrat usman bin affaan
Allah ki rah mai malo-dawlat kurban kar ke USMAN-E-GANI ban gaye.
Mohabbat ka hi karishma tha ki insaaf ki talwar banker hazrat umar bin
khattab FARUQU-E-AZAM ban gaye. Yah mohabbat wa akida ka hi to ayehesas
tha ki jange uhud mai pyare nabi ke Mubarak daat tutne ki khabar son kar
Hazrat awas karni ne apne sare daat tod dale. Mohabbat ka hi karishma
tha jisne gulam Bilal ko AKA BILAL bana diya. Apne buzurgo ke rawshan
kirdar wo amal se sabak hashil karte huwe hame apne is zasbe wa ayehesas
ko sahi samt le jane ki fikar wa koshish karni chahiye taki dono jahan
mai surkhuru ho sake.
Mohabbat ki buniyat par agar nafrat ki
diwangi todi ja sakti hai to yakin rakhkheye ki issi mohabbat se kufr ke
adheyre bhi dur ho sakte hai. Hamre guzurgo ki zindagi iss hakikat ka
jeeta jagta namuna hai jisne lakho ke dil ki duniya badal dali. Aye, ham
bhi issi payega-e-mohabbat ko aaam kare.
Peshkash – Sirat-e-Mustakin, Mahanama.
.
No comments:
Post a Comment