Pages

Wednesday, 21 January 2015

Maa Baap Hi Tumhari Jannat, Maa Baap Hi Tumhari Dozakh

Maa Baap ke shukrguzaar rahiye, yeh sach hai ke hamare wujod ka nazar aane wala sabab Maa Baap hain, phir Maa Baap ki parwarish aur nigrani mein ham palte badhte hain aur jis ghair mamooli kurbaani aur badi mohabbat se hamari parwarish karte hain, uska takaza hai ke hamara seena unke aqeedat wa ehsaanmadi aur badappan wa mohabbat se bhara hua ho aur hamare dil ki nas nas unki shukrguzaar ho.

Yehi wajah hai ke Khuda ne apne shukrguzaari ke sath sath unki shukrguzari ki takeed farmayee hai.
“(HAMNE WASIYAT KI KE) MERA SHUKR ADA KARO AUR APNE MAA BAAP KE SHUKRGUZAAR RAHO” (31:14)
Hazrat-Abu-Umama (RA) farmate hain ke ek admi ne Nabi (Sallallaho-alaye-wa-sallam) se poocha “aye Allah ke Rasool, Maa Baap ka aulaad pe kya haq hai?” Aap (Sallallaho-alaye-wa-sallam) ne farmaya “Maa Baap hi tumhari jannat hain aur Maa Baap hi tumhaari dozakh.” (Ibn-e-Majah)
Yani Maa Baap ke saath nek sulook kar ke tum jannat ke haqdaar hoge aur unke hak ko maar kar tum Jahannam ke Endhan banoge.
YA ALLAH HAME ITNI HIDAAYAT DE KE HAM APNE MAA BAAP (YA JO BHI EK ZINDA HO) KE SATH HAMESHA ACHCHA SULOK KARE… UNSE KISI BAAT MEIN UFF TAK NAA KARE… AUR AULAD HONE KA HAQ ADA KAREN.. AMEEN !!!!!!

No comments:

Post a Comment