Pages

Wednesday, 21 January 2015

Zakat Wa Uski Ahemiyat

Roza namaz ki tarah jakat bhi islam ka ek aahem  farz hai. Yaha bhi ebadad hai jise ada karna jarori hai. Sure bakar: ke pahele hi page par allah ne apne un momin bando ki tariff farmate huwe farmaya-aur hamne unhe jo rozi di hai,usmai se waha meri raah mai kharch karte hai.
Jakat farz hai lekin sab par nahi balki maldaro par hi farz hai. Mehenat banda karta hai, uska far allah deta hai. Har mehenat karne wale ko ek jayesa fal wa enaam nahi milta balki bande ki niyat ke mutabik allah jis bande ko chahata hai, uski rozi mai barkat aata farmata hai. Yaha hakikat hm sab apni akho se dekhte hai.
Hamari kamayi mai dusro ka bhi haaq hai. Issi haaq ko ada karne ke liye aur apne jaroratmand bhaiyon ki madad karne keliye hamare rab ne maaldaro parr jakat farz farmayi. Jakat ka matalb hai-paak karna, badnal . jakat aada karne se maal paak hota hai aur usmai barkat hoti hai. Allah paak ne farmaya- jo log muttaki, parhezgar hai aur apna maal paak karrne ke liye jakat aada karte hai, waha log jahannam se dur rakhkhe jayege. Isliye allah ne apne puyare rasul se farmaya-logo se jakat wasul karke unhe paak wa suthra karo.
Allah ke pyare rasul farmata hai- logo! Apne maal ki jakat aada karke apne maal ko mazbut kilo mai mahefuz karlo. Apne bimaro ka elaz sadka se karo aur bala nazil hone par allah se ro-ro kar uski madad talab karo.
Jo log imaandari se apne maal ki jakat aada kiya karte hai, unke maal mai barkat hoti hai, koi nukshan nahi hota aur jo laparwahi se kaam lete hai unhe tarah-tarah ke nukshan uthhane padte hai. Allah ke rasul ne farmaya- jisse allah paak aata farmayega aur waha apne maal ki jakat ada na kare to qayamat ke din uska wahi maal gaza saap bana diya jayega fir waha uske muuh jabde pakad kar kahega-main tera maal ho main tera khazana ho.   (BUKHARI SHARIF)

No comments:

Post a Comment