Pages

Wednesday, 21 January 2015

RAMZAN KI NAFIL IBADATEIN

RAMZAN KI IBADATEIN

Ramzan ibadat ka kash mahina hai. Is Mubarak mahine me Allah ke bande apne rab ka inaam pane ke liye nafli ibadate karte hai. 11 mahine masjid se dur rahne wale, bade se bada gunahgaar bhi Allah ki rahmat par yakin rakhte hua Allah ke ghar mai apne sajdo ke nazrane pesh karte hua nazar ata hai. Yahi wazah hai ki hamari chhoti-badi sabhi masjide abaad ho jati hain. Aur bade hi shwkh se log taravih mai sharik hote hai. Masjid mai khash taravih mai sharik hote hai. Masjido mai khash tawr par Quran Sharif sunne aur sunane ka ayehtamam kiya jata hai.In sari baato ke alawa Allah ke kuch nek bande aur bhi nafil ibadatein kar ke apne rab ki rahmate, barkatein hasil karne ki koshish karte hai.

NAFIL IBADATEIN

Agar Allah tawfik de to ham bhi har raat 2 rakat nafil padne ki koshish kare.
Har rakat mai Sureh Fateha ke baad 3 baar Kulhuwallah Sharif padhe. Is ki barkat se Allah ke farishte padhne wale ki nekiyon ki hifazat farmayege, gunaho se bachate rahega aur Allah paak Jannat mai uska martaba buland farmayega.
Hadith sharif aur Buzurgu ke malumat me aur bahut si namaz hain jo ham jaise log ke liye bahut bhari hai haan, ye 2 rakate to padhi ja sakti hai. Allah paak hame tawfik de. Ameen.
Sab-e-qadar magfirat ki raat hai, Isliye pane aur apne walidein ke liye zaror duaye magfirat kare.

No comments:

Post a Comment