Pages

Wednesday, 21 January 2015

Zakat Wa Uski Ahemiyat

Roza namaz ki tarah jakat bhi islam ka ek aahem  farz hai. Yaha bhi ebadad hai jise ada karna jarori hai. Sure bakar: ke pahele hi page par allah ne apne un momin bando ki tariff farmate huwe farmaya-aur hamne unhe jo rozi di hai,usmai se waha meri raah mai kharch karte hai.
Jakat farz hai lekin sab par nahi balki maldaro par hi farz hai. Mehenat banda karta hai, uska far allah deta hai. Har mehenat karne wale ko ek jayesa fal wa enaam nahi milta balki bande ki niyat ke mutabik allah jis bande ko chahata hai, uski rozi mai barkat aata farmata hai. Yaha hakikat hm sab apni akho se dekhte hai.
Hamari kamayi mai dusro ka bhi haaq hai. Issi haaq ko ada karne ke liye aur apne jaroratmand bhaiyon ki madad karne keliye hamare rab ne maaldaro parr jakat farz farmayi. Jakat ka matalb hai-paak karna, badnal . jakat aada karne se maal paak hota hai aur usmai barkat hoti hai. Allah paak ne farmaya- jo log muttaki, parhezgar hai aur apna maal paak karrne ke liye jakat aada karte hai, waha log jahannam se dur rakhkhe jayege. Isliye allah ne apne puyare rasul se farmaya-logo se jakat wasul karke unhe paak wa suthra karo.
Allah ke pyare rasul farmata hai- logo! Apne maal ki jakat aada karke apne maal ko mazbut kilo mai mahefuz karlo. Apne bimaro ka elaz sadka se karo aur bala nazil hone par allah se ro-ro kar uski madad talab karo.
Jo log imaandari se apne maal ki jakat aada kiya karte hai, unke maal mai barkat hoti hai, koi nukshan nahi hota aur jo laparwahi se kaam lete hai unhe tarah-tarah ke nukshan uthhane padte hai. Allah ke rasul ne farmaya- jisse allah paak aata farmayega aur waha apne maal ki jakat ada na kare to qayamat ke din uska wahi maal gaza saap bana diya jayega fir waha uske muuh jabde pakad kar kahega-main tera maal ho main tera khazana ho.   (BUKHARI SHARIF)

Maa Baap Hi Tumhari Jannat, Maa Baap Hi Tumhari Dozakh

Maa Baap ke shukrguzaar rahiye, yeh sach hai ke hamare wujod ka nazar aane wala sabab Maa Baap hain, phir Maa Baap ki parwarish aur nigrani mein ham palte badhte hain aur jis ghair mamooli kurbaani aur badi mohabbat se hamari parwarish karte hain, uska takaza hai ke hamara seena unke aqeedat wa ehsaanmadi aur badappan wa mohabbat se bhara hua ho aur hamare dil ki nas nas unki shukrguzaar ho.

Yehi wajah hai ke Khuda ne apne shukrguzaari ke sath sath unki shukrguzari ki takeed farmayee hai.
“(HAMNE WASIYAT KI KE) MERA SHUKR ADA KARO AUR APNE MAA BAAP KE SHUKRGUZAAR RAHO” (31:14)
Hazrat-Abu-Umama (RA) farmate hain ke ek admi ne Nabi (Sallallaho-alaye-wa-sallam) se poocha “aye Allah ke Rasool, Maa Baap ka aulaad pe kya haq hai?” Aap (Sallallaho-alaye-wa-sallam) ne farmaya “Maa Baap hi tumhari jannat hain aur Maa Baap hi tumhaari dozakh.” (Ibn-e-Majah)
Yani Maa Baap ke saath nek sulook kar ke tum jannat ke haqdaar hoge aur unke hak ko maar kar tum Jahannam ke Endhan banoge.
YA ALLAH HAME ITNI HIDAAYAT DE KE HAM APNE MAA BAAP (YA JO BHI EK ZINDA HO) KE SATH HAMESHA ACHCHA SULOK KARE… UNSE KISI BAAT MEIN UFF TAK NAA KARE… AUR AULAD HONE KA HAQ ADA KAREN.. AMEEN !!!!!!

RAMZAN KI NAFIL IBADATEIN

RAMZAN KI IBADATEIN

Ramzan ibadat ka kash mahina hai. Is Mubarak mahine me Allah ke bande apne rab ka inaam pane ke liye nafli ibadate karte hai. 11 mahine masjid se dur rahne wale, bade se bada gunahgaar bhi Allah ki rahmat par yakin rakhte hua Allah ke ghar mai apne sajdo ke nazrane pesh karte hua nazar ata hai. Yahi wazah hai ki hamari chhoti-badi sabhi masjide abaad ho jati hain. Aur bade hi shwkh se log taravih mai sharik hote hai. Masjid mai khash taravih mai sharik hote hai. Masjido mai khash tawr par Quran Sharif sunne aur sunane ka ayehtamam kiya jata hai.In sari baato ke alawa Allah ke kuch nek bande aur bhi nafil ibadatein kar ke apne rab ki rahmate, barkatein hasil karne ki koshish karte hai.

NAFIL IBADATEIN

Agar Allah tawfik de to ham bhi har raat 2 rakat nafil padne ki koshish kare.
Har rakat mai Sureh Fateha ke baad 3 baar Kulhuwallah Sharif padhe. Is ki barkat se Allah ke farishte padhne wale ki nekiyon ki hifazat farmayege, gunaho se bachate rahega aur Allah paak Jannat mai uska martaba buland farmayega.
Hadith sharif aur Buzurgu ke malumat me aur bahut si namaz hain jo ham jaise log ke liye bahut bhari hai haan, ye 2 rakate to padhi ja sakti hai. Allah paak hame tawfik de. Ameen.
Sab-e-qadar magfirat ki raat hai, Isliye pane aur apne walidein ke liye zaror duaye magfirat kare.

Sar Dhakna Adab Hai Aur Izzat Bhi

Sar dhakna adab hai Aur izzat bhi
Sar dhana adab ki alamant hai, nishani hai. Yaha hamari shan wa pahechan bhi hai. Hamare kuch muslim bhaiyon ki yah soch ban gayi hai ki sar dhakna to shirf namaz mai hi zarori hai, balki ek ja-maat to ab nagge sar namaz padhne mai fakar mahesus karti hai.Yaad rakhiye – sar dhakan ka dastur bada purana hai. Alag alag mulko, ilako mai sar dhakne ke liye topi ka istemal hota hai. Sab ki alag-alag pahechan hai. Muslmano ke alawa bahut si gair muslim kaume bhi sar dhane ke liye topi ka istemal kar rahi hai. Kuch ki to khash andaz ki topi hi unka kaumi pahechan hai. Topi ke alawa safa-pagdhi bandhkar bhi sar dhane ka chaln sadiyon purana hai. Paigambare islam aur apke sahaba ne bhi amame (Shafe) badhey hai aur iski badi fazilat bayan farmayi hai.

Bahut sare daftaro mai bhi ek nayi style ki topi

Yahi nahi, bahut sare sarkari daftaro mai bhi ek nayi style ki topi paheni-pahenai jati hai. Wahi us department ki pahechan ban jati hai. Kisi-kisi department mai ek khash andaz ki paghdi bandhni padhti hai. Wahi uski pahechan hoti hai. Wah topi ya pagdhi lazmi hoti hai. Uski khilaf warji ko saggine jurm mana jata hai. Yahi nahi siyasi partyon ki bhi ek apni-apni topiyan wa pagdhi hai. Badshaho aur razawde mai pagdhiyon ko sar ka taaj mana jata hai isliye unki pagdhiyon me here jahawarat jade hote hai. Kyon ki sar badan ka sab se upri hissa hai isliye uska bahut martaba hai, isliye topi, safa, pagdhi ko sar ka taaj mana wa samjhta jata hai. Uski hifazat ke liye logo ne apni jane qurban ki hain.

Nagge sar rahena ek fashion ban chuka hai

Behayayi wa begairati ke is yong mai nagge sar rahena ek fashion ban chuka hai Aur muslman shirf namaz ke waqt topi pahenne, sar dhakne ko hi zarori samjhte hai jab ki islam ne nagge sar khane-peene aur pakhana-peshab karne se bhi mana kiya hai. Lekin kya kiya jaye, mard ki baat chhodiye, ab to Aurate apna sar dhakne ki zarorat nahi samjh rahi hai. Jab ki aurato ke liye nagge sar hona haram hai. Sar aur sar ke baal ka chupana bhi farz hai. Nagge sar hone ki wajah se bahut sari balaye unke sar aa rahi hai fir bhi hosh ki akhey nahi khul rahi hai. Allah hidayat de ..Ameen