Pages

Tuesday, 20 May 2014

Quran ki tilawat

Quran ki tilawat ho rahi ho to khamoshi ke sath sunna wajib hai. Tilawat  karne wale sawab to milta hi hai, sunne walo ko bhi sawab milta hai. Jo log tilawat ke dawran khamosh nahi rahete, usse sunte nahi, waha gunahgaar hote hai. Isliye namaz mai jab imaan sahab Qurani suratein ayeate padh rahe hote hain, muqtadiyon ko khamosh rahene ka hokum hai. Issi barkat ko hasil karne ke liye ramzan sharif mai tarabih ke dawran Quran sharif ki tilawat ka ayehtamam hota chala aa raha hai. Iski barkat se wah log bhi Quran ki tilawat ka faiz hasil kar lete hain jinhe Quran padhna bhi nahi ata.

Quran Allah ka kalam hai, iski tilawat karne wala Allah ka kalam padhne ka saraf hasil karta hai. Yah kitni badi khubi wa khushnasibi hai ki banda Allah ka kalal padhey sune. Is ki barkat se imaan taja hota hai. Dil ko sukun milta hai, banda rab ki rahemat ka haqdaar ban jata hai.
Allah ke Rasul Sallallalho alaiye wa sallam ne farmaya – Jis tarah lohe mai pani lagne mai usme jang lag jata hai, ussi tarah gunaho ki nahusat se dil mai bhi jang lag jata hai. Sahaba ne arz kiya – Ya Rasullallah! Dil ka jang kis tarah dur hoga? Aap ne farmaya – Apni maut ko khub yaad karte raho Aur Quran sharif ki tilawat karo. Iski barkat se Allah paak tumhare dil ka jang dur farma dega. Hazrat Zahhaq Radiallahho anho farmate hain – Quran ki tilawat ka mujhe itna shauk hai ki agar kisi din mai tilawat na kar saku to uske gam mai bimar ho jao. Yahi wajah hai ki sahaba Quran Majid ki tilawat ka khash ayeteram farmaya karte.
Rawayato mai ata hai ki pyare Rasul ki Ja-nishar sahaba 5 chezo ki pabandi karmaya karte.
 1 – Pabandi se jamat ki namaz ada karna. 2 – Pyare Rasul ki pyari-pyari sunnato ko apnana. 3 – Masjid ki tamer mai hissa lena. 4 – Quran ki tilawat karna. 5 – Allah ki rah mai zihad karna.
Gunaho ki nahusat se dil par jo mayel jamta hai, agar admi us mayel ko dur karne ki fikar na rakhe to mayel ki ayesi tah jam jati hai ki fir to insaan ko gunah ke kaam bhi gunah nahi mahesos hote. Agar ham apne dil ke ayene ko gunaho ki mayel se paak kar ke chamkana chahe to hamare liye lazmi hai ki ham pabandi se Quran sharif ki tilawat karne ki adad bana le. Allah hame ayesi hi tawfik de. Ameen.
Hafiz Akbar Qadri-khandwa


Friday, 9 May 2014

ALLAH KA FARMAN


ALLAH KA FARMAN


Bismillahirrahmanirraheem
ASSALAM O ALEKUM
Mout Aur Zindagi.! Wo ( Allah) Hi To Hy Jo Raat Ko Tumhari Rooh Kabz Karta Hy Aur Jo Kuch Tum Din Me Karty Rehty Ho, Wo Iss Ko B Janta Hy, Phr Dosry Roz (Subah) Tmhy Iss Se Jaga Deta Hy Taa K Zindagi Ki Muqarrah Muddat Pori Ho. Akhir Kaar Isi Ki Traf Tum Ko Wapis Jana Hy, Phr Wo Tumhy Bata Dy Ga K Tum Kya Karty Rahey Ho.!
{Surah Al-InamAyat 60}
Allah K Nafarman Logon Ka (Duniya Mai Aish Ki Zindagi Guzarna Aur) Unka Chalna Phirna Tum Ko Kisi Dhoke Mai Na Dal De. Ye Mehez Chand Roza Zindagi Ka Thora Sa Lutf Hai, Phir To In (Nafarmano) Ka Thikana Dozakh Hi Hoga Jo Bad Tareen Aram Gah Hai .
(SURAH AL IMRAN AYAT 196-197)
“Hum Ne Tumhain Zameen Main Ikhtiyarat k Saath Basaya Aur Tmhare Liye Yahan Saman-e-Zindagi Faraham Kia, Magar Tum Log Kam Hi Shukar-Guzaar Hote Ho”
(Surah Aaraf)
ALLAH FARMATE HAIN,
“UNKE PAAS DIL HAI LEKIN WO UNSE SAMJHTE NAHI, AUR UNKE PAAS AANKHEN HAIN LEKIN WO UNSE DEKHTE NAHI, AUR UNKE PAAS KAAN HAIN LEKIN WO UNSE SUNTE NAHI, WO TO PASHUO(ANIMAL) KI TARAH HAIN, BALKI AISE LOG TOH UNSE BHI ZYADA GUMRAAH HAIN, YAHI WO LOG HAIN JO GAFLAT ME PADE HUE HAIN,
(SUR- AARAF 176)
ISSE BADKAR UN LOGON KI NINDA AUR KYA HO SAKTI HAI JO AKL RAKHTE HUE BHI MAANAV-SAMAJ KI BHALAI SOCHNE KE LIYE TAIYAR NAHI HAI, JISKI WAJAH SE WO QIYAMAT KE DIN APNE IS GUNAH KO QUBOOL KARENGE AUR KAHENGE,
“AGAR HUM SUNTE HOTE, YA AQL SE KAAM LETE TO HM DAHAKTI AAG ME PADNE WALON MESE NA HOTE
SURAH-MULK 10

Padosiyon ka haq hadith ke rawshini mai

!!! Padosiyon Ka Haq Hadith ke Rawshini Mai !!!

Aaj ki is bhag dawd bhari zindagi mai insaan ko sab kuch hasil hai lekin sukun nahi. Dilo se mohabbat aur hamdardi ke zazbat nikalte ja rahe hai. Khair-khwahi aur madad ki zagah nafrat aur dusmani ke zarasim badi tezi se zindagi mai zaher ghol  rahe hain. Aaj ham apni padosiyon ki shararto se pareshan hai jab ki Islam mai padosiyon ke sath achchha bartaw karne ki sabse jayeda takid ayi hai. Allah ke Rasul farmate hain – Hazrat Jibrail Alayehissalam mujhe padosiyon ke bare mai itni wasiyat farmaya karte ki mujhe andaza hone laga shayad padosiyon ko Vasiat mai hakdaar bana diya jaye. (Bukhari Sharif)


Hadith mai aya hai ki padosi ko taklif pahuchane wala Jannat main na ja sakega. Jish ke padosi us se razi ho wah marne ke baad Jannat mai jayega.
Hazrat Adullah bin masud Radiallaho Anho ka bayan hai – Ek admin Aka ki khidmat mai hazir howa aur kahne laga – Ya Rasul Allah! Mujhe kaise pata chale ki maine achcha kiya ya bura? Aka ne farmaya – Jab tum apne padosiyon se suno ki tum ne achchha kiya to samjh jao ki tumne jo kiya, Achcha kiya. Aur jab tumhare padosi yah kahe ki tum ne bura kiya to samjh jao ki tumne bura kiya. (Ibn-e-Maza)
Ek din Allah ke Rasul waju farma rahe thhey. Paas mai maujud Sahabah aapke waju ke dhowan ko lekar apne chehere (Face) par lagane lage. Aaka ne pucha – tum sab ayesa kyon kar rahe ho? Sahabah ne arz kiya – Ya RasulAllah!  Aapki mohabbat mai ayesa kar rahe hain. Aaka ne farmaya – Agar tum yaha chahate ho ki Allah wa Rasul bhi tum se mohabbat kare to (1) Jab bolo sach bolo (2) Tumhare pass koi chez amanat rakhi jaye to uski hifazat karo aur mangne par us se de do (3) Aur apne padosiyon ke sath ayehesan karo.
Pyare dini bhai-beheno! Padosi ka haq itna hi nahi ki agar kisi baat, kaam, chez se use taklif pachune ka andesha ho to us se bhi parhez kare. Balki us se narmi ka bartaw kare, uski zarorato ka khayal kare. Hadith sharif mai hai – Qayamat ke din gareeb padosi apne Ameer padosi ka daman pakad kar Allah se fariyad karega ki Maula! Is se puch – Tune isse mal-o-dawlat se nawaza tha, lekin isne mujhe apni aataow se kyon maherum rakhkha? Deeni bhaiyon agar Allah ne aapko nawaza hai to aap apne gareeb, Zaroratmand padosi ki madad kare taki Qayamat mai Sharmindagi na uthani pade. Unhe hakir na samjhe balki unhe apne liye rahemat samjhe.
Hazrat Ibnul Mukaffa ko kisi ne khabar di ki aapka padosi gareebi ki wajah se aapna ghar bech raha hai. Wah karzdaar hai, karz chukane ke liye uske paas aur koi rasata nahi. Aap soch mai pad gaye aur fir uske pass rakam bhijwa kar kahelwaya ki is se apna karz ada kar do aur ghar na becho.
Hamare Pyare Rasul apni padosiyon ki Dil-Joyi ke liye Ummul momenin Hazrat Ayesha se farmate – Jab Salaan pakao to us mai pani jayeda daal kar Shorba badha liya karo aur fir padosiyon ke ghar pahuchaya karo, is se mohabbat padhegi. Allah ke Rasul farmate hai.
@ Tumhara padosi madad mange to uski madad karo.
@ Agar zarorat ke waqt karz mange to use karz do.
@ Agar wah Gareebi ki wajah se tumhari hamdardi ka haqdaar ho to uski zarorato ka khayal rakhkho.
@ Agar us se kisi tarah ki koi khosi hasil ho to use Mubarak baad pesh karo.
@ Kabhi-Kabhi kuch hadiya Tohofa bhijwaya karo, mausam ke hisab se fal lao to apne padosi ke bachcho ko bhi do.
Padosi apni nadani  se aapse jhhagda kare to uska jawab jhagde se na do balki apni samjhdari ka sabut dete huwe sabar se kaam le. Ek sahabi apne padosi se bahut pareshan ho chukka tha. Sarkar ki khidmat mai sikayat ki. Sarkar ne sabar se kaam lene ki talim de. Fir bhi padosi ki harkat nahi sudhri. Sahabi ne dobara shikayat ki to Aaka ne farmaya – Tum aapna saman ghar ke bahar rakhna suru kar do. Unhone ayesa hi kiya. Padosi ne jab yaha haal dekh to dawd kar aya aur pucha  ki kya baat hai? Unho ne kaha – Main aapse jhhagda to kar nahi sakta isliye aapki shararato se mazbur ho kar ghar chhod kar ja raha ho. Padosi bada sharminda huwa aur maafi talab karte huwe kaha ki aap ghar khali kar ke na jaye. Bahalhaal, hame apne padosiyon ke bare mai Allah wa Rasul se darte rahena chahiye aur uske bando ka haq ada karne mai kotahi nahi karni chahiye.

Join @ Sunni Muslim Club

Friday, 2 May 2014

Sar Dhakna Adab Hai Aur Izzat Bhi

!!!!!!!!!!!  Sar Dhakna Adab Hai Aur Izzat Bhi  !!!!!!!!!!!
Sar dhakna adab ki alamant hai, nishani hai. Yaha hamari shan wa pahechan bhi hai. Hamare kuch muslim bhaiyon ki yah soch ban gayi hai ki sar dhakna to shirf namaz mai hi zarori hai, balki ek ja-maat to ab nagge sar namaz padhne mai fakar mahesus karti hai.
Yaad rakhiye – sar dhakan ka dastur bada purana hai. Alag alag mulko, ilako mai sar dhakne ke liye topi ka istemal hota hai. Sab ki alag-alag pahechan hai. Muslmano ke alawa bahut si gair muslim kaume bhi sar dhane ke liye topi ka istemal kar rahi hai. Kuch ki to khash andaz ki topi hi unka kaumi pahechan hai. Topi ke alawa safa-pagdhi bandhkar bhi sar dhane ka chaln sadiyon purana hai. Paigambare islam aur apke sahaba ne bhi amame (Shafe) badhey hai aur iski badi fazilat bayan farmayi hai.

WhatsApp - +919785210027
FB - Sunni Muslim Club

Admin @ Imran Agwan Silawat

Deen Hamari Zarorat Hai

!!!!!!!!!!!!!!!!!  Deen Hamari Zarorat Hai !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Allah paak ne apne bande ko beshumar nemato se nawaz hai. Uski sab se behetareen nemat khud hamari zindagi hai. Zindagi wah hira hai jisse tarashna khud insaan ka apna kaam hai. Aaj ka har insaan ayes-o-aram ki zindagi jeena chahata hai. Wah chahata hai ki uski zindagi hashi-khushi guzre.
Aaj ki duniya mai khushal zindagi ka matlab ayes-o-aram ho gaya hai. Mazhab to hamari zindagi mai bas naam ke tawr par rah gaya hai halaki mazhab to insaan ki zarorat hai, wah to hamari rahnumayui karta hai, lekin ab mazhab ki koi ahematiyat nahi rahi. Sab ek rag mai ragnte ja rahe hai. Insaniyat ki tabahi ki paheli wazah yahi hai.
Aaj ki duniya ki sab se paheli aur badi insaani zarorat PAISA hai kyonki paise se insaan apni pasand ki har chhez kharid kar apni khowhish puri kar sakta hai, lekin chand ghanto, dino ya mahino ki yah khushi kis kaam ki. Zindagi bhar tak ke liye khushi wa sukun paise se nahi hasil ho sakta. Yah dawlat to hame deen ke usulo par amal karte huwe zindagi guzarne par hi hasil ho sakegi.
Had ho gayi ki insaan apni pahechan kho baitha hai. Waha pane apko nahi pahechan raha hai. Jo apne apko nahi pahechan raha hai wah apne khuda ko kya pahechan payega. Insaan kya se kya ho gaya? Insaniyat kaha chaliy gayi? Jin logo ne zindagi ka matalab paisa kamana aur ayes-o-aram ki masti bhari zindgi guzarna samjh liya hai, wah bade ghate mai hai.
Yaad rakhiye zindagi mehemat se sawarti hai. Duniya ka sab se khush nasib insaan paak daman mehenti musalman hai. Duniya mai wahi tarakki karega jo waqt ki kadr karte huwe mehenat wa imaandari ki zindagi guzarte huwe halal rozi kamaye aur khaye-khilayega.
Allah ka dusra inaam ISLAM hai. Shukr hai ki usne hame imaan ki dawlat ataa farma ka musalman banaya. Islam puri insaani duniya ki islah wa kamiyabi ka zamin hai. Iske paak usolu par chal kar insaan dili tawr par pyar, mohabbat, aur ayes-o-aram ki khushaal zindagi gozar sakta  hai.
Mehenat insaan ka sab se behetareen zewar hai. Kaam ke bina insaan nakaam hai aur uski zindagi adhuri . mehenat ka matlab yah hai ki adimi job hi kaam kare usmai apni puri takat de aur apne maksat mai kamiyabi hasil kane ke liye akhiri dam tak lagan aur imaandari se kaam mai jut e rahe. Itni mehenat, , lagan se kaam kare ki wah apne fan ka ustad ban jaye. Is manzil par hi insaan ko apni mehnat ke al ka maza nasib hota hai.
Aaj ki tez rafter duniya mai izzat wa shohorat ki zindagi ke liye waqt ka takaza hai ki ham jayez tarike se mehnat wa lagan se kaam karke halal rozi hasil kare kyonki halal kamayi se hi dili sukun hasil hota hai, halal rozi khane wale ki dua Qabul hoti hai aur nazayaz tarike se kamaya dhan (dawlat) hamre liye duniya wa akhirat mai tabahi wa musibat ka samaan banega. Lekin haye afsos, paise kamane ke dhun mai hamara musalman bhai bhi dusro ki tarah dewana (pagal) ban kar apne paak deen ke usolu ki khilaf warzi kar raha hai. Aaj  hamare kitne nadan bhai nazayaz tarike se dawlat kamane mai fase huwe hai aur iske liye na karne ke kaam bhi kar rahe hai. Allah ayeso ko hidayat de … AMEEN
Hame har haal mai apne musalman hone ka ayesas bedar rakhna hoga, HALAL-HARAM kef ark ko samjhna hoga. Asali nafa-nuksan pahechana hoga. Ham jab apna Islami zameer bedar rakhege to hamara islam hame hamesha jayez wa halal kaam karne ki izazat dega aur haram wa nazayaz kamo se rogega. Ayesa hone par hamari mehnat-mazduri ki halal kamayi mai Allah paak hame itni barkat ataa farmayega ki ham garib hote huwe bhi AMEERO se khushal zindagi guzarege jaha chalo taraf sukun hi sukun hoga.
                                                                                                               (Sirat-e-Mustakim book)