Pages

Tuesday, 20 May 2014

Quran ki tilawat

Quran ki tilawat ho rahi ho to khamoshi ke sath sunna wajib hai. Tilawat  karne wale sawab to milta hi hai, sunne walo ko bhi sawab milta hai. Jo log tilawat ke dawran khamosh nahi rahete, usse sunte nahi, waha gunahgaar hote hai. Isliye namaz mai jab imaan sahab Qurani suratein ayeate padh rahe hote hain, muqtadiyon ko khamosh rahene ka hokum hai. Issi barkat ko hasil karne ke liye ramzan sharif mai tarabih ke dawran Quran sharif ki tilawat ka ayehtamam hota chala aa raha hai. Iski barkat se wah log bhi Quran ki tilawat ka faiz hasil kar lete hain jinhe Quran padhna bhi nahi ata.

Quran Allah ka kalam hai, iski tilawat karne wala Allah ka kalam padhne ka saraf hasil karta hai. Yah kitni badi khubi wa khushnasibi hai ki banda Allah ka kalal padhey sune. Is ki barkat se imaan taja hota hai. Dil ko sukun milta hai, banda rab ki rahemat ka haqdaar ban jata hai.
Allah ke Rasul Sallallalho alaiye wa sallam ne farmaya – Jis tarah lohe mai pani lagne mai usme jang lag jata hai, ussi tarah gunaho ki nahusat se dil mai bhi jang lag jata hai. Sahaba ne arz kiya – Ya Rasullallah! Dil ka jang kis tarah dur hoga? Aap ne farmaya – Apni maut ko khub yaad karte raho Aur Quran sharif ki tilawat karo. Iski barkat se Allah paak tumhare dil ka jang dur farma dega. Hazrat Zahhaq Radiallahho anho farmate hain – Quran ki tilawat ka mujhe itna shauk hai ki agar kisi din mai tilawat na kar saku to uske gam mai bimar ho jao. Yahi wajah hai ki sahaba Quran Majid ki tilawat ka khash ayeteram farmaya karte.
Rawayato mai ata hai ki pyare Rasul ki Ja-nishar sahaba 5 chezo ki pabandi karmaya karte.
 1 – Pabandi se jamat ki namaz ada karna. 2 – Pyare Rasul ki pyari-pyari sunnato ko apnana. 3 – Masjid ki tamer mai hissa lena. 4 – Quran ki tilawat karna. 5 – Allah ki rah mai zihad karna.
Gunaho ki nahusat se dil par jo mayel jamta hai, agar admi us mayel ko dur karne ki fikar na rakhe to mayel ki ayesi tah jam jati hai ki fir to insaan ko gunah ke kaam bhi gunah nahi mahesos hote. Agar ham apne dil ke ayene ko gunaho ki mayel se paak kar ke chamkana chahe to hamare liye lazmi hai ki ham pabandi se Quran sharif ki tilawat karne ki adad bana le. Allah hame ayesi hi tawfik de. Ameen.
Hafiz Akbar Qadri-khandwa


No comments:

Post a Comment