Pages

Friday, 2 May 2014

Deen Hamari Zarorat Hai

!!!!!!!!!!!!!!!!!  Deen Hamari Zarorat Hai !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Allah paak ne apne bande ko beshumar nemato se nawaz hai. Uski sab se behetareen nemat khud hamari zindagi hai. Zindagi wah hira hai jisse tarashna khud insaan ka apna kaam hai. Aaj ka har insaan ayes-o-aram ki zindagi jeena chahata hai. Wah chahata hai ki uski zindagi hashi-khushi guzre.
Aaj ki duniya mai khushal zindagi ka matlab ayes-o-aram ho gaya hai. Mazhab to hamari zindagi mai bas naam ke tawr par rah gaya hai halaki mazhab to insaan ki zarorat hai, wah to hamari rahnumayui karta hai, lekin ab mazhab ki koi ahematiyat nahi rahi. Sab ek rag mai ragnte ja rahe hai. Insaniyat ki tabahi ki paheli wazah yahi hai.
Aaj ki duniya ki sab se paheli aur badi insaani zarorat PAISA hai kyonki paise se insaan apni pasand ki har chhez kharid kar apni khowhish puri kar sakta hai, lekin chand ghanto, dino ya mahino ki yah khushi kis kaam ki. Zindagi bhar tak ke liye khushi wa sukun paise se nahi hasil ho sakta. Yah dawlat to hame deen ke usulo par amal karte huwe zindagi guzarne par hi hasil ho sakegi.
Had ho gayi ki insaan apni pahechan kho baitha hai. Waha pane apko nahi pahechan raha hai. Jo apne apko nahi pahechan raha hai wah apne khuda ko kya pahechan payega. Insaan kya se kya ho gaya? Insaniyat kaha chaliy gayi? Jin logo ne zindagi ka matalab paisa kamana aur ayes-o-aram ki masti bhari zindgi guzarna samjh liya hai, wah bade ghate mai hai.
Yaad rakhiye zindagi mehemat se sawarti hai. Duniya ka sab se khush nasib insaan paak daman mehenti musalman hai. Duniya mai wahi tarakki karega jo waqt ki kadr karte huwe mehenat wa imaandari ki zindagi guzarte huwe halal rozi kamaye aur khaye-khilayega.
Allah ka dusra inaam ISLAM hai. Shukr hai ki usne hame imaan ki dawlat ataa farma ka musalman banaya. Islam puri insaani duniya ki islah wa kamiyabi ka zamin hai. Iske paak usolu par chal kar insaan dili tawr par pyar, mohabbat, aur ayes-o-aram ki khushaal zindagi gozar sakta  hai.
Mehenat insaan ka sab se behetareen zewar hai. Kaam ke bina insaan nakaam hai aur uski zindagi adhuri . mehenat ka matlab yah hai ki adimi job hi kaam kare usmai apni puri takat de aur apne maksat mai kamiyabi hasil kane ke liye akhiri dam tak lagan aur imaandari se kaam mai jut e rahe. Itni mehenat, , lagan se kaam kare ki wah apne fan ka ustad ban jaye. Is manzil par hi insaan ko apni mehnat ke al ka maza nasib hota hai.
Aaj ki tez rafter duniya mai izzat wa shohorat ki zindagi ke liye waqt ka takaza hai ki ham jayez tarike se mehnat wa lagan se kaam karke halal rozi hasil kare kyonki halal kamayi se hi dili sukun hasil hota hai, halal rozi khane wale ki dua Qabul hoti hai aur nazayaz tarike se kamaya dhan (dawlat) hamre liye duniya wa akhirat mai tabahi wa musibat ka samaan banega. Lekin haye afsos, paise kamane ke dhun mai hamara musalman bhai bhi dusro ki tarah dewana (pagal) ban kar apne paak deen ke usolu ki khilaf warzi kar raha hai. Aaj  hamare kitne nadan bhai nazayaz tarike se dawlat kamane mai fase huwe hai aur iske liye na karne ke kaam bhi kar rahe hai. Allah ayeso ko hidayat de … AMEEN
Hame har haal mai apne musalman hone ka ayesas bedar rakhna hoga, HALAL-HARAM kef ark ko samjhna hoga. Asali nafa-nuksan pahechana hoga. Ham jab apna Islami zameer bedar rakhege to hamara islam hame hamesha jayez wa halal kaam karne ki izazat dega aur haram wa nazayaz kamo se rogega. Ayesa hone par hamari mehnat-mazduri ki halal kamayi mai Allah paak hame itni barkat ataa farmayega ki ham garib hote huwe bhi AMEERO se khushal zindagi guzarege jaha chalo taraf sukun hi sukun hoga.
                                                                                                               (Sirat-e-Mustakim book)

1 comment:

  1. Salam! here you can download Halal Tariqe se Kamany k 50 Madani Phool in Hindi, a most authentic and renowned Islamic Book.
    http://www.dislamicbooks.com/2015/12/download-halal-tariqe-se-kamany-k-50.html
    The book is also available in Urdu and other languages.

    ReplyDelete