!!! Padosiyon Ka Haq Hadith ke Rawshini Mai !!!
Aaj ki is bhag dawd bhari zindagi mai insaan ko sab kuch hasil hai lekin sukun nahi. Dilo se mohabbat aur hamdardi ke zazbat nikalte ja rahe hai. Khair-khwahi aur madad ki zagah nafrat aur dusmani ke zarasim badi tezi se zindagi mai zaher ghol rahe hain. Aaj ham apni padosiyon ki shararto se pareshan hai jab ki Islam mai padosiyon ke sath achchha bartaw karne ki sabse jayeda takid ayi hai. Allah ke Rasul farmate hain – Hazrat Jibrail Alayehissalam mujhe padosiyon ke bare mai itni wasiyat farmaya karte ki mujhe andaza hone laga shayad padosiyon ko Vasiat mai hakdaar bana diya jaye. (Bukhari Sharif)
Aaj ki is bhag dawd bhari zindagi mai insaan ko sab kuch hasil hai lekin sukun nahi. Dilo se mohabbat aur hamdardi ke zazbat nikalte ja rahe hai. Khair-khwahi aur madad ki zagah nafrat aur dusmani ke zarasim badi tezi se zindagi mai zaher ghol rahe hain. Aaj ham apni padosiyon ki shararto se pareshan hai jab ki Islam mai padosiyon ke sath achchha bartaw karne ki sabse jayeda takid ayi hai. Allah ke Rasul farmate hain – Hazrat Jibrail Alayehissalam mujhe padosiyon ke bare mai itni wasiyat farmaya karte ki mujhe andaza hone laga shayad padosiyon ko Vasiat mai hakdaar bana diya jaye. (Bukhari Sharif)
Hadith mai aya hai ki padosi ko taklif pahuchane wala Jannat main na ja sakega. Jish ke padosi us se razi ho wah marne ke baad Jannat mai jayega.
Hazrat Adullah bin masud Radiallaho Anho ka bayan hai – Ek admin Aka ki khidmat mai hazir howa aur kahne laga – Ya Rasul Allah! Mujhe kaise pata chale ki maine achcha kiya ya bura? Aka ne farmaya – Jab tum apne padosiyon se suno ki tum ne achchha kiya to samjh jao ki tumne jo kiya, Achcha kiya. Aur jab tumhare padosi yah kahe ki tum ne bura kiya to samjh jao ki tumne bura kiya. (Ibn-e-Maza)
Ek din Allah ke Rasul waju farma rahe thhey. Paas mai maujud Sahabah aapke waju ke dhowan ko lekar apne chehere (Face) par lagane lage. Aaka ne pucha – tum sab ayesa kyon kar rahe ho? Sahabah ne arz kiya – Ya RasulAllah! Aapki mohabbat mai ayesa kar rahe hain. Aaka ne farmaya – Agar tum yaha chahate ho ki Allah wa Rasul bhi tum se mohabbat kare to (1) Jab bolo sach bolo (2) Tumhare pass koi chez amanat rakhi jaye to uski hifazat karo aur mangne par us se de do (3) Aur apne padosiyon ke sath ayehesan karo.
Pyare dini bhai-beheno! Padosi ka haq itna hi nahi ki agar kisi baat, kaam, chez se use taklif pachune ka andesha ho to us se bhi parhez kare. Balki us se narmi ka bartaw kare, uski zarorato ka khayal kare. Hadith sharif mai hai – Qayamat ke din gareeb padosi apne Ameer padosi ka daman pakad kar Allah se fariyad karega ki Maula! Is se puch – Tune isse mal-o-dawlat se nawaza tha, lekin isne mujhe apni aataow se kyon maherum rakhkha? Deeni bhaiyon agar Allah ne aapko nawaza hai to aap apne gareeb, Zaroratmand padosi ki madad kare taki Qayamat mai Sharmindagi na uthani pade. Unhe hakir na samjhe balki unhe apne liye rahemat samjhe.
Hazrat Ibnul Mukaffa ko kisi ne khabar di ki aapka padosi gareebi ki wajah se aapna ghar bech raha hai. Wah karzdaar hai, karz chukane ke liye uske paas aur koi rasata nahi. Aap soch mai pad gaye aur fir uske pass rakam bhijwa kar kahelwaya ki is se apna karz ada kar do aur ghar na becho.
Hamare Pyare Rasul apni padosiyon ki Dil-Joyi ke liye Ummul momenin Hazrat Ayesha se farmate – Jab Salaan pakao to us mai pani jayeda daal kar Shorba badha liya karo aur fir padosiyon ke ghar pahuchaya karo, is se mohabbat padhegi. Allah ke Rasul farmate hai.
@ Tumhara padosi madad mange to uski madad karo.
@ Agar zarorat ke waqt karz mange to use karz do.
@ Agar wah Gareebi ki wajah se tumhari hamdardi ka haqdaar ho to uski zarorato ka khayal rakhkho.
@ Agar us se kisi tarah ki koi khosi hasil ho to use Mubarak baad pesh karo.
@ Kabhi-Kabhi kuch hadiya Tohofa bhijwaya karo, mausam ke hisab se fal lao to apne padosi ke bachcho ko bhi do.
Padosi apni nadani se aapse jhhagda kare to uska jawab jhagde se na do balki apni samjhdari ka sabut dete huwe sabar se kaam le. Ek sahabi apne padosi se bahut pareshan ho chukka tha. Sarkar ki khidmat mai sikayat ki. Sarkar ne sabar se kaam lene ki talim de. Fir bhi padosi ki harkat nahi sudhri. Sahabi ne dobara shikayat ki to Aaka ne farmaya – Tum aapna saman ghar ke bahar rakhna suru kar do. Unhone ayesa hi kiya. Padosi ne jab yaha haal dekh to dawd kar aya aur pucha ki kya baat hai? Unho ne kaha – Main aapse jhhagda to kar nahi sakta isliye aapki shararato se mazbur ho kar ghar chhod kar ja raha ho. Padosi bada sharminda huwa aur maafi talab karte huwe kaha ki aap ghar khali kar ke na jaye. Bahalhaal, hame apne padosiyon ke bare mai Allah wa Rasul se darte rahena chahiye aur uske bando ka haq ada karne mai kotahi nahi karni chahiye.
Join @ Sunni Muslim Club
Join @ Sunni Muslim Club
No comments:
Post a Comment