Pages

Sunday, 10 November 2013

Ashura Aur Moharram

Islami saal ka pahela mahina moharram bada hurmat wa barkat wala mahina hai. Youm-e-ashura ki wajah se is mahine ko pahele hi fazilat hashil thi aur kalbala ke wakeye ne islami tarih mai isse amar kar diya. Hadiso mai ashura aur moharram ki badi fazilat ayi hai.



Ashura (moharram ki 10vi tarikh) ko 4 rakat nafil padhey. Har rakat mai ALHAMDO SHARIF ke baad 50 baar KULHUWALLAH sharif padhey. Is ki barakat se Allah paak gunah maaf farmayega aur padhne wale ke liye jannat mai nor ke mahel banwayega. Namaz ke baad 70 baad DARUD SHARIF padhey. Ashura ke din apne ghar walo ko hamesha se achchha khana khilana chahiye. Allah paak iski barkat se saal bhar tak rozi mai barkat ata farmayega. Is din sadka, khairat karna behetarin neki hai. Kuch islako mai is din achchha khana banaya-khilane ko achchha samjhte hai, wah is din ko GAM KA DIN mante hai. Ayesa sochna samjhna galat hai. Islam mai kisi ki maut par 3 din se jayeda GAM jahir karne ki izazat nahi isliye moharram ko GAM ka tehewar kahena bhi galat hai. Is din achchha khilana aur roze rakhne ka hokum Allah ke Rasul ne diya aur farmaya hai ki Ramzan ke roze ke baad sab se Afzal roza Ashura ka Roza hai.

Ashura ka matalab moharram ki 10vi tarikh hai. Danishmand ka kahena hai ki Mohorram ki 10vi ko ashura isliye kahete hain kyonki is din Allah ne apne 10 khash nabiyon par apna khash karm farmaya wa inaam se nawaza hai.

 1 –  Issi din Hazrat Ruh Alayesalam ki kasti 40 din tak sailab mai tairne ke baad khairiyat ke sath Zudi pahad par ruki jaha apne sajde sukar ada farmaya.

2 – Issi din Hazrat Adam Alaiy salam ki Tawba Qabul hui.

3 – Issi din Allah ne apne kalim Hazrat Mush Alayesalam ko Firawon se nazat bakhshi. Aap khairiyat ke sath neel nadi paar kar gaye aur Firawon apni faoz ke samet doba diya gaya.

4 – Issi tarikh ko Hazrat Musha Alayesalam paida huwe aur issi tarikh ko Aaslmaan par uthaye gaye jaha aaj bhi aap zinda wa salamat hai aur Qayamat ke kareeb wapas tashrif layege.

5 – Hazrat Yonush alayesalam is tarikh ko machliy ke pet se zinda wa salamat zameen par bahar tashrif laye. Allah paak ne aapki ummat ki khataye maaf famayi.

6 – Moharram ki 10vi tarikh ko hi Hazrat Yosufalayesalam kuwe se nikale gaye.

7 – Hazrat ayyub Alayesalam ko ek lammbi bimari se issi din rahat mili aur aap Azmayish mai kamiyab huwe.

8 – Hazrat Idrish Alayesalam issi tarikh ko zinda Aasmaan par uthaye gaye.

9 – Hazrat Ibrahim Alayesalam 10vi moharram ko hi paida huwe they. Firown ki aag se aap salamiti ke sath jis din bahar tashlif laye wah Moharram ki 10vi tarikh thi.

10 – Issi din Hazrat Suleman ko wah bhari bharkam takht ata huwa tha jis par baith kar aap sari duniya ki sair farmate, aapko wah takht JINNAT apne kandhey par lekar hawao mai udhte they.

In tarikho wa yaadgaari wakeyat ki wajah se is din ko Ashura kaha jata hai.

Book – Sirat-e-Mustakim, Ashra November 2013.

No comments:

Post a Comment