Pages

Wednesday, 6 November 2013

Meher Aada Karna Zarori

Mehar Aurat ka sarayi haq hai. Mard ke liye lazmi hai ki wah mehar ki rakam zaror aada kare warna gunehgaar hoga. Afsos ki aajkal is ka khayal talak ya ladayi-jhhagda hone ki nawbat aane par hi mahesus ki jati hai. Isse pahele log mehar ki rakam ki baat karna munashib nahi samjhte. Shadi ke waqt bahut sari zayaz nazayaz cheze taye ho jati hai lekin mehar ki baat nahi ki jati jiski wazah se nikah ke waqt Qazi shaheban ko badi pareshani hoti hai.




Shari-at mai kam se kam mehar ki meeqdaar 10 dirham hai jo aaj ke hisab se 32.659 gram chandi hoti hai. Isse kam mehar nahi to sakti. Agar 551 ya 786 rupaye ki mehar mukarrar ki gayi to nikah to ho jayega lekin shawhar ko itni rakam dene se chhutkara nahi milega bakli takriban 33 gram chandi ya uski kimat bazar bhaw se aada karni padege.

Mehar Fatimi 2-tarah ka thha. Mehar-e-moazzal jo mulakat se pahele aada kiya gaya wah 480 dirham thha jo aaj ke wazan ke hisab se 1-kg 667 gram 641 mili-gram hota hai. Aur hazrat khatune zannat ka mehar 400 miskal chandi mukarrar huwa thha jo aaj ke hisab se 1-kg 866 gram 240 mili-gram chandi hui. Isski kimat mauzuda bhaw se takriban 1-lakh rupaye hoti hai.

Isliye takriban 33 gram ya uski kimat se kam ki rakam mehar na mukarrar ki jaye warna aurat ki haq talfi hogi. Hayesiyat ke mutabik mehar mukarrar kare to behetar hai taki len-den mai asani ho aur gunah se bacha ja sake. (Mufti-Nizam Uddin, Mubarkpur)

No comments:

Post a Comment